Monday 9 July 2012

Tere Bin Lyrics

Tere Bin Lyrics
Movie:- Dil Toh Baccha Hai Jee (2011)


DilTohBacchaHaiJi2011            



tere bin main dekhun na subah
nigaahon se abhi yeh wada kar liya
tere bin ho chalna bhi saza
ke raahon se abhi yeh wada kar liya
[repeat]

sanam yahi jazbaat hain mere
yeh dil kahe ke khawahishain jeene ki saath hain
tere bin ho saanson se juda
hawaaon se abhi yeh wada kar liya
tere bin main dekhun na subah
nigaahon se abhi yeh wada kar liya


tu woh zameen jis pe main ne to apni yeh duniya basaai hai
main bin tere ab kahaan jaaon ga
tu aasra hai mera, main to jeeta hoon tere bharose pe
main bin tere ab na jee paaon ga
meri to yeh har baat tujh se hai
tu hi meri dhoop aur meri barsaat tujh se hai
tere bin na barse yeh ghata
ghataaon se abhi yeh wada karliya
tere bin main dekhun na subah
nigaahon se abhi yeh wada kar liya


jo haath mein ho tera haath to yeh lakeerain dharakti hain
tu ho juda, sab thama sa lage
jo tu mere paas hai to yaqeen apne hone pe hota hai
tu ho juda, sab gumaan sa lage
haan tu meri aadat mein shaamil hai
mere liye main sach kahun, tu *mohabbat* ke qaabil hai
tere bin na poori ho dua
duaaon se abhi yeh wada kar liya
tere bin main dekhun na subah
nigaahon se abhi yeh wada kar liya

No comments:

Post a Comment