Monday 9 July 2012

Chehra Hai Ya Chand Khila


Song:- Chehra Hai Ya Chand Khila
Singer:-Kishore Kumar

















Ho….chehra hai ya chaand khila hai
zulf ghaneri shaam hai kya
sagar jaisi aankhon waali
yeh toh bata tera naam hai kya
tu kya jaane teri khaatir
kitna hai betaab yeh dil
tu kya jaane dekh raha hai
kaise kaise khwaab yeh dil
dil kehta hai tu hai yahan toh jaata lamha tham jaaye
waqt ka dariya behte behte is manzar mein jam jaaye
tune deewana dil ko banaya
is dil par ilzaam hai kya
sagar jaisi aankhon waali
yeh toh bata tera naam hai kya
ho…..aaj main tujhse door sahi
aur tu mujh se anjaan sahi
tera saath nahin paoon toh
khair tera armaan sahi
yeh armaan hain shor nahi ho khamoshi ke mele ho
is duniya mein koi nahi ho hum dono hi akele ho
tere sapne dekh raha hoon
aur mera ab kaam hai kya
sagar jaisi aankhon waali
yeh toh bata tera naam hai kya

2 comments: