Sunday 17 February 2013

Dil Ke Aramaan Aansuon

Movie :-Nikaah
Singer:-Salma Aagha




Dil Ke Aramaan Aansuon Men Bah Gaye
Ham Vafaa Kar Ke Bhi Tanaha Rah Gaye
Dil Ke Aramaan Aansuon Men Bah Gaye

Zindagi Ek Pyaas Ban Kar Rah Gai \-2
Pyaar Ke Qisse Adhoore Rah Gaye
Ham Vafaa Kar Ke Bhi Tanaha Rah Gaye
Dil Ke Aramaan Aansuon Men Bah Gaye

Shaayad Un Ka Aakhiri Ho Yeh Sitam \-2
Har Sitam, Yeh Soch Kar Ham Sah Gaye
Ham Vafaa Kar Ke Bhi Tanaha Rah Gaye
Dil Ke Aramaan Aansuon Men Bah Gaye

Khud Ko Bhi Hamane Mita Daala Magar
Faasle Jo Daramiyaan The Rah Gaye
Ham Vafaa Kar Ke Bhi Tanaha Rah Gaye
Dil Ke Aramaan Aansuon Men Bah Gaye

Faza bhi phi hai jawan jawan

Movie :- Nikaah
Singer:- Salma aagha

 


Fiza Bhi Hai Javaan Javaan, Hava Bhi Hai Ravaan Ravaan
Suna Raha Hai Ye Sama, Suni Suni Si Daastaan

Bujhi Magar Bujhi Nahin, Na Jaane Kaisi Pyaas Hai
Qaraar Dil Se Aaj Bhi, Na Door Hai Na Paas Hai
Ye Khel Dhup-Chhaaon Ka, Ye Qurbaten Ye Duuriyaan
Suna Raha Hai Ye Sama..........

Har Ek Pal Ko Dhoondhata Har Ek Pal Chala Gaya
Har Ek Pal Visaal Ka, Har Ek Pal Firaaq Ka
Har Ek Pal Guzar Gaya, Bana Ke Dil Pe Ik Nishaan
Suna Raha Hai Ye Sama.................

Pukaarate Hain Door Se, Vo Qaafile Bahaar Ke
Bikhar Gaye Hain Rang Se, Kisike Intazaar Men
Lahar Lahar Ke Honth Par, Vafa Ki Hain Kahaaniyaan
Suna Raha Hai Ye Sama.................

Vohi Ghadi, Vohi Pahar, Vohi Hava, Vohi Lahar
Nai Hain Manzilen Magar, Vohi Dagar, Vohi Safar
Nazar Gai Jidhar-Jidhar, Mili Vohi Nishaaniyaan
Suna Raha Hai Ye Sama..................

chhup gaye sare nazare



Movie:-Do Raaste
Singer:-mohammad rafi , lata mageshkar



chup gaye sare najare, oy kya bat ho gayee - (2)
tune kajal lagaya, din mei rat ho gayee
mil gaye naina sey naina oy kya bat ho gayee - (2)
dil ne dil ko pukara mulakat ho gayee

kal nahee aana mujhe naa bhulana ke marega tana jamana - (2)
tere honto ke raj yeh bahana tha
goree tujko tho aaj nahee aana tha
too chalee aayi duhayee, oy kya bat ho gayee
maine choda jamana tere sath ho gayee - (2)
oh tune kajal lagaya din mei rat ho gayee

amwa kee dalee peh gaye mathvalee koyila kalee niralee
sawan aaneka kuchh mathlab hoga
badal chaneka koyee sabab hojayega
rimjhim chaye gataye oy kya bat ho gayee - (2)
teree chunaree lehraiye barsat ho gayee - (2)
dil ne dil ko pukara mulaat ho gayee

chod naa baiya padu tere paiya, taro ke chaiya me saiya - (2)
ek woh din tha milake naa too ladatee akhiya
ek din too jage sare sare ratiya
ban gayee goree chakoree oy kya bat ho gayee - (2)
jiska dar tha bedardee wahee bat ho gayee - (2)

chup gaye sare najare, oy kya bat ho gayee - (2)
dil ne dil ko pukara mulakat ho gayee - (2)

Saturday 16 February 2013

Rain is falling chama cham cham

Singer:- sudesh bhosle





tan tana tan tanan tanan rain is falling chama cham cham ladki ne aankh mari gir gaye hum tan tana tan chat pe khadi thi meri gulbadan mein tha gali me mere lad gaye nayan dekh ke dil machal gaya paav mera phisal gaya dekho re dekho mera dewanapan rain is falling dil me utha hai dekho kaisa tufan uski adaao ne le li meri jaan aankho se lut liya baato se maar diya rukne lagi mere dil ki dhadkan arre ye to gaya tan tana tan rain is falling


ham to hain parades mein


Singer:-jagjit singh 




ham to hain parades mein, des mein nikalaa hogaa chaand 
ham to hain parades mein, des mein nikalaa hogaa chaand 
apanii raat kii chhat par kitanaa tanahaa hogaa chaand 
ham to hain parades mein, des mein nikalaa hogaa chaand 


chaand binaa har din yon biitaa jaise yug biite ho 
mere binaa kis haal mein hogaa, kaisaa hogaa chaand 
ham to hain parades mein, des mein nikalaa hogaa chaand 
ham to hain parades mein, des mein nikalaa hogaa chaand 
apanii raat kii chhat par kitanaa tanahaa hogaa chaand 
ham to hain parades mein, des mein nikalaa hogaa chaand 

aa piya moray naynun mein , main palak jhaamp tohay yon 
naa main dekhoo aur kuch aur na tuhay dekhoon
raat ne aisa paych lagayaa to bhi haath se gol
angan walay neend main jaa ker atka hoga chaand
ham to hain parades mein, des mein nikalaa hogaa chaand 
ham to hain parades mein, des mein nikalaa hogaa chaand 
apanii raat kii chhat par kitanaa tanahaa hogaa chaand 
ham to hain parades mein, des mein nikalaa hogaa chaand

Kahi Door Jab Din Dhal Jaaye


Song:- Kahi Door Jab Din Dhal JaayeMovie or Album:- O Majhi Re 





Kahin Door Jab Din Dhal Jaye 
saanjh Ki Dulhan Badan Churaaye Chupake Se Aaye
mere Kayaalon Ke Aangan Mein 
koi Sapanon Ke Deep Jalaaye Deep Jalaaye
kahin Door Jab Din Dhal Jaye 
saanjh Ki Dulhan Badan Churaaye Chupake Se Aaye

kabhi Yunhin Jab Huyi Bojhal Saansen 
bhar Aayi Baithe Baithe Jab Yuhin Aankhen 
tabhi Machala Ke Pyaar Se Chal Ke
chhuye Koyi Mujhe Par Nazar Na Aaye Nazar Na Aaye
kahin Door Jab Din Dhal Jaye 
saanjh Ki Dulhan Badan Churaaye Chupake Se Aaye

kahin To Ye Dil Kabhi Mil Nahin Paate
kahin Se Nikal Aaye Janmon Ke Naate
ghani Thi Ulajhan Bairi Apanaa Man
apanaa Hi Hoke Sahe Dard Paraaye Dard Paraaye
kahin Door Jab Din Dhal Jaye 
saanjh Ki Dulhan Badan Churaaye Chupake Se Aaye
mere Kayaalon Ke Aangan Mein 
koi Sapanon Ke Deep Jalaaye Deep Jalaaye

dil Jaane Mere Saare Bhed Ye Gahare
ho Gaye Kaise Mere Sapane Sunahare
ye Mere Sapane Yahi To Hain Apane
mujhase Juda Na Honge Inake Ye Saaye Inake Ye Saaye
kahin Door Jab Din Dhal Jaye 
saanjh Ki Dulhan Badan Churaaye Chupake Se Aaye

Aaj jane ki zid na karo

Singer :-Faida Khanum





Aaj jaane ki zid na karo (3)
Yunhi pehloo mein baithe raho (2)
Aaj jaane ki zid na karo
Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo (2)
Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo

Tum hi socho zara, kyun na roke tumhe
Jaan jaati hai jab uth ke jaate ho tum (2)
Tumko apni qasam jaan-e-jaan
Baat itni meri maan lo
Aaj jaane ki zid na karo
Yunhi pehloo mein baithe raho (2)
Aaj jaane ki zid na karo
Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo

Waqt ki qaid mein zindagi hai magar (2)
Chand ghadiyan yehi hain jo aazad hain (2)
Inko khokar mere jaan-e-jaan
Umr bhar na taraste raho
Aaj jaane ki zid na karo
Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo

Kitna maasoom rangeen hai yeh sama
Husn aur ishq ki aaj mein raaj hai (2)
Kal ki kisko khabar jaan-e-jaan
Rok lo aaj ki raat ko
Aaj jaane ki zid na karo
Yunhi pehloo mein baithe raho (2)
Aaj jaane ki zid na karo
Haay mar jaayenge, hum to lut jaayenge
Aisi baatein kiya na karo
Aaj jaane ki zid na karo

Ya Rabba

Song : Ya rabba - Pyar hain ya sazaMovie : Salaam-e-ishq (2007)Singer : kailash kher



Pyar hain ya saza,
Aye mere dil bataa,
Tutta kyun nahi,
Dard ka silsila,

Is pyar mein ho kaise kaise imtihaan,
Yeh pyar likhe kaisi kaisi dastaan...

Ya rabba, de de koi jaan bhi agar,
Dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar,
Ho ho
Ya rabba, de de koi jaan bhi agar,
Dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar.

Pyar hain ya saza,
Aye mere dil bataa,
Tutta kyun nahi,
Dard ka silsila...

Kaisa hain safar,
Wafa ki manzil ka,
Na hain koi hal,
Dilon ki mushkil ka,

Dhadkan dhadkan bikhari ranjishe,
Saanse saanse tuti bandishe...

Kahin to har lamha, hothon pe fariyad hain,
Kisi ki duniya, chahat mein barbad hain...

Ya rabba, de de koi jaan bhi agar,
Dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar
Ho ho
Ya rabba, de de koi jaan bhi agar,
Dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar

Pyar hain ya saza,
Aye mere dil bataa,
Tutta kyun nahi,
Dard ka silsila...


Koi na sune, 
Sisakti aahon ko,
Koi na dhare,
Tadapti baahon ko,

Aadhi aadhi, poori khwahishen,
Tuti futi sab farmaishe...

Kahi shaq hain, kahi nafarat ki deewar hain,
Kahi jeet me bhi, shamil pal pal har hain...

Ya rabba, de de koi jaan bhi agar,
Dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar
Ho ho
Ya rabba, de de koi jaan bhi agar,
Dilbar pe ho na dilbar pe ho na koi asar

Pyar hain ya saza,
Aye mere dil bataa,
Tutta kyun nahi,
Dard ka silsila...

Na pucho dard bando se,
Hasin kaisi Khusi kaisi,
Musibat sar par reheti hain,
Kabhi kaisi kabhi kaisi.

Ohhh Rabba Ohh
Raabaaaa Ohh oo ooo
Rabbaaaa ho o o 
Ho o o o o o Rabba

Tija Tera

Movie:-chak de india
singer:-krishna , salim merchand





Tija tera rang tha main toh
Tija tera rang tha main toh
jiyaan tere dhang se  main toh
tuhi he tha maula tu hi aan
maula mere lele meri jaan
maula mere lele meri jaan


Tija tera rang tha main toh
Tija tera rang tha main toh
jiyaan tere dhang se  main toh
tuhi he tha maula tu hi aan
maula mere lele meri jaan
maula mere lele meri jaan

tere sang kheli holi ,tere sang ki diwali
tere  angano ki chhaya ,tere sang sawan aya
pher le tu chaahe nazarein , chahe chura lein
lout ke tu aayega re shart laga re


Tija tera rang tha main toh
Tija tera rang tha main toh
jiyaan tere dhang se  main toh
tuhi he tha maula tu hi aan
maula mere lele meri jaan
maula mere lele meri jaan


mitti meri thi bhuri 
wahi mere ghi aur churi 
wahi raanjhe mere woh heer 
wahi sevaiya 
wahi kher 
tujhse he ruthana re 
tujhe hi manaana 
tera mera naata koi duja na jaana 

Tija tera rang tha main toh
Tija tera rang tha main toh
jiyaan tere dhang se  main toh
tuhi he tha maula tu hi aan
maula mere lele meri jaan
maula mere lele meri jaan 



Ye Hosla Kaise Juke


song :-ye hosla kaise juke
movie:-dor
singer:-shafgat amanat ali , salim merchant 



ye hosla kaise juke
ye aarzoo kaise ruke  
ye hosla kaise juke
ye aarzoo kaise ruke

manzil muskil to kya
dhundla sahil to kya
tanha ye dil to kya
ho ooo

raah pe kante bikhre agar
uspe to phir bhi chalna hi hai
saam chhupale suraj  magar
raat ko ek din dhalna hi hai

rut ye tal jaye gi
himmat rang layegi
subha phir aayegi
hoo ooo


ye hosla kaise juke
ye aarzoo kaise ruke
ye hosla kaise juke
ye aarzoo kaise ruke

hogi hame to rehmat ada
dhup kategi saaye tale
apni khuda se hai ye dua
manzil lagale humko gale

zurrat so baar rahe
uncha ikraar rahe
zinda har pyar rahe .
hooo   ooo


ye hosla kaise juke
ye aarzoo kaise ruke
ye hosla kaise juke
ye aarzoo kaise ruke